Thursday 6 June 2013

Badalta daur...

Jo tha kal ajnabee..
Hai woh aaj dil ke kareeb..
Jo kiya hota andekha, rah jaata tu adhoora!

Thi mazboot jo dor pehle..
Ab jaane kisne kaat phenki..
Jo aasani se toot gayi, kya rehti woh khaak judi!

Laal peela kaala hara..
Rangon se bhara yeh jahaan..
Jo ek hi rang hota, koi kya jeeta!

Joh udna na jaane the kabhi..
Ab udke hai basein aasmaan mein..
Joh na phailate pankh apne, rah jate zameen mein gade..

Kyun sochna itna har choti baat pe..
Karo woh jaake joh aaye pehle khayaal mein..
Na rukega yeh pal, na woh baat hogi phir kal...

Tha kal kuch.. Hai aaj kuch aur..
Dekh khol aakhen..
Har waqt hai badalta daur!

No comments:

Post a Comment