Tuesday 4 June 2013

Jhaank khidki ke baahar...

Dekh jhaank ke khidki ke baahar..
Hai khada koi besahaara panchi..
Aankhon mein bechaini..
Dil mein liye aas..
Chal raha woh panchi..
Dhoond ne kuch khaas !

Dekh jhaank ke khidki ke baahar..
Chal rahi hawa banjari..
Na jaane koi sarhad..
Na manne koi jaat..
Chal rahi yunhi..
Baatte sabko saans !

Dekh jhaank ke khidki ke baahar..
Zhoom raha ek paglaa..
Sabse alag, sabse badlaa..
Bol raha apni baat..
Lag rahi sabko bakwaas..
Phir bhi hai usko viswaas...
Koi toh dega uska saath !

Dekh jhaank ke khidki ke baahar..
Nikli jaa rahi soch nayi..
Umdi bejijhak beej se koi..
Chaahati badna raaste pe sahi..
Yahan wahan guzarti abhi..
Soyen hue ko jagayegi kabhi!








2 comments: