Tuesday 4 June 2013

Naya bhavra...

Kholi naye bhavre ne apni ankhen maasoom...
Girte hi roshni ne dikhayi usko rang birange phool..
Dikhe sirf haste chehre aas paas...
Ho bejijhak gun gunane laga apni dhun...

Pal pal guzra uchal kood mein...
Mila sab kuch joh maanga dil ne...
Chaahat, maasoomiyat, aur kuch na jaane..
Ghul mil gaya us suhane rang mein...

Gujre aise hi kuch pal bina soche...
Par bikhri uski duniya aise...
Na keh kuch saka, kuch toota aise..
Jab diye kisi ne usko dhoke...

Toote uske sapne saare...
Roothe khudke woh soch nyaare...
Karta raha koshish samajhne ki baat...
Phir jaake hua usko is jeevan ka ehsaas...

Ab chal pada hai woh apni gali ke aur...
Cheezon ki hai samaj, logon ko liye parakh...
Nahi lootega usko naya koi chor..
Sambhaal lega khudko, kaisa be hoga daur...



No comments:

Post a Comment